Showing posts with label Ishq. Show all posts
Showing posts with label Ishq. Show all posts

Wednesday, January 14, 2009

Kho Na Jaye Kahin

dil ke armaan badal na jaye kahin
aapki meethi meethi baton mein kho na jaye kahin
mausam suhana hai nazar badal na jaye kahin
humare dil mein "Aap" utar na jaye kahin.


Ruthane Ka Haq Aap Rakthe Hai,
Manane Ki Chahat Hum Rakhte Hai
Aapke Hoton Pe Muskurahat Yuhi Bani Rahe
Yeh Dua Hum Rab Se Har Roz Karte Hai

Chahe dil pyaar kare koi humse bhi
Humse koi vada kare aur nibhaye bhi
Khub sataye hame aur manaye bhi
Zindagi bar saat de aur saato janam bhi

Saturday, January 10, 2009

Ek Aur Jaam Ho Jaye

Saaki hoNsh baaki hai ek aur jaam ho jaaye,
Tere maikhaane men ek aur shaam ho jaaye,

Gam-e-ishq ka mara aur dunia ka sataya hu,
Ek jaam aisa ho zindagi ko aaraam ho jaaye,

Teri mahafil men hi gam ko kam paata hoon,
To charcha kyun na ye sar-e-shaam ho jaaye,

Teri panaah men mujhe jo nayi zindagi mili,
Chal khuda jaisa tera bhi koi naam ho jaaye,

Is dunia men wafaa soch samaj ke hi karna,
Kahi meri tarah tu bhi na badnaam ho jaaye,

Ishq karne ki koi naseehat mat dena aye dost
Apne jaisa uska bhi wo anjaam na ho jaaye.

Ho Gaya Aapse Pyar

Na chahte hue bhi ho gaya hume aapse pyar
Na chahte hue bhi hum gaye aap par dil haar
Na janu ye kaisi hai majhdhar
Ki ab toh dil ko har pal hai aap hi ka intzar

Chain Se Soyenge Kabr Mein

Socha Tha Chain Se Soyenge kabr Me
Par Yaha Bhi Teri Yaaden Satati Hai
Palken To ZamaneSe Band Hai
Par Aankhe Aaj B Tere Hi Sapne Sajati Hai