Thursday, May 28, 2009

UMMEED

UMMEED

Ummeed ka daman kabhi mat chodana,
chahe jindagi chodani pad jaye,
kabhi kisi ka dil mat todana,
chhahe dil apna kyo na tooth jaye.
ummeed pe zamana kayam hai,
tu bhi ummeed rakhana,
ummeed hi jo teri tooth gayi,
to kaun rahega jag main tera apna.
Tere sage saharo ko teri ummeed hai,
tu apne ap se ummeed rakhna,
auro ko ummeed dilate rahena,
zaroor pura hoga tera sapana.
ummeed ka daman kabhi mat chodana,
ummeed wo tinka hai,
jo doobate hue ko bachata hai,
lakh mushkile aaye magar,
ummeed ke rahate insan,
bhavsagr paar kar jaata hai.
ummeed rakh ki tera har kaam pura hoga,
aaj agar tu kuch nahi hai to kya,
kal duniya ki aankon ka tara hoga,
ummeed ka daman kabhi mat chodna.

No comments:

Post a Comment