Thursday, May 28, 2009

Sirf Chahne Se Kuch Hota Nahi Haasil

Sirf Chahne Se Kuch Hota Nahi Haasil,

Qayamat to Andaaz-e-Bayan Me Hoti Hai

Ishq Me Jab Waar Karti Hai Aankhe,

Tab Talware Bhi Aksar Mayan Me Hoti Hai....!!

wo jo humse pare-pare baithe hai,

hum un par mare baithe hai,

itna sunkar wo apne husn par itna garur na kare,

kyoki jo usne bhi pare baithe hai
hum un par bhi mare baithe hai

mit gaye hai sab zakhm,

bas nishaan baaki reh gaya,

saza puri ho gayi,

karna gunaah baaki reh gaya.

wo aankho me ashq liye bethe hai,

hum bhi unke pyaar pagal hue bethe hai,

hum to jaan dene ko bhi tayyar hai,

magar vo hamari jaan bane bethe hai....

phool jab chune humne chaman se

khusboo sab ne udhaar maange

magar jab kaanto ka dard saha

koi humdard hume na mila

saagar ke seene se moti jo uthaya

hissa sabme humne baant diye

magar jab ghir gaye toofano se

door tak koi saahil nazar na aaya

zindagi bitayi humne ibadat me

duao me sabko shaamil kiya

arzoo ki jab khud ke liye kuchh

Khuda se bhi hume jawab na mila

Kuch Tabiyat hi mili thi aisi Chain se jeene ki surat na hoi

Jisko Chaha use Apna na sake jo mila us se Mohabbat na hoi

Jis se jab tak mile Dil hi se mile, Dil jo badla to Fasana badla

Rasme Duniya ki Nibhane ke liye Humse Rishto ki Tijaarat na hoi

Door se tha wo kayi Chehro me paas se koi bhi wesa na laga

Be-Wafaii bhi usi ka tha chalan, phir kisise hi Shikayat na hoi

Waqt Rootha raha Bachche ki tarah Raah me koi Khilona na mila

Dosti bhi to Nibhaai na gayi Dushmani me bhi Adaawat na hoi

No comments:

Post a Comment