Wednesday, February 11, 2009

mohabbat thi ya nafrat

Najanay us k dil mai kiya tha

mai ye na jaan payi

usay mujh se mohabbat thee ya nafrat thi?

kabhee hans k galay lagna

kabhee ghussay se yun thukrana

kabhee sansoon ko pholon ki mehak daina

kabhee pholon ko hathon se masal daina

bana laina kabhee mamoolee batoon ko ana ka masla

aur kabhee ghambeer baton ko hansi mai taal daina

kabhee kehna k

''TUM MAIRI HO AUR MAIRI HEE RAHO GEE''

aur phir kehna k

''MAI TANHA HON AUR YE DUNIYA KABHEE MEREE NAHEEN HOGEE''

kabhee mujh bin na jeenay ki qasam khana

kabhee tanhai dai jana

tabhee mai ye jaan na paayi kabhee bhee ....

usay mujh se....

mohabbat thi ya nafrat...??

No comments:

Post a Comment