Wednesday, January 28, 2009

Jitna bhi us ko sochon

Jitna bhi us ko sochon
Utna he door paon

Jitna bhi us ko chahon
Khud he bikharta jaon

Mein aam sa musafir
Be aas be sahara

Wo door kahin basta
Aasman ka tara

Mein rait se ulajhti sehraon ki hawa hun
Wo sahilon pe chalta bad-e-saba ka jhonka

Han farq to bohat hai
Per baat yeh faqat hai

Mein lakh toot jaon
Khud he se rooth jaon
Per yeh na ho ga mujh se
K mein us ko bhool jaon...

No comments:

Post a Comment