Wednesday, January 14, 2009

hum safar ban k hum ,
sath hain aj bhi...
phir bhi hai ye safar...
ajnabii
ajnabii..


Dil ko aadat hai zakhm khane ki
Aakhon ko aadat hai gum chupane ki
Par ye bhi sach hai ki
Hum ji sakte hai aapke bagair bhi
Hume jarurat nahi kisi bahane ki

Surkh si Aankhon mei phir se kaali ghata ko chhana hai…
Phir se tujhe yaad karke Aankho ne Ashko ko bahaana hai…
Tera intezaar kar rahe hain..aur karte rahenge jab tak Tu kahe,
Aakhir pyaar kiya hai jo itna, Uss pyaar ko Nibhaana hai….

KAL HALKI HALKI BAARISH THI
KAL SARD HAWA KA RAKS BHI THA
KAL PHOOL BHI NIKHERE NIKHERE THAY
KAL UN MEIN AAP KA AKS BHI THA
KAL BAADIL KALE GEHRE THAY
KAL CHAAND PE LAKHOON PEHRE THAY
KUCH TUKRDE AAP KI YAADOON KE
BADI DER SE DIL MEIN THEHRE THAY
KAL YAADEIN ULJHI ULJHI THEEN
AUR KAL TAK YE NA SULJHI THEEN
KAL YAAD BOHAT TUM AAYE THAY
KAL YAAD BOHAT TUM AAYE THAY

Khamosh palko se jab ansu aate hai....
Aap kya jane ke aap kitne yaad aate hai....
Aaj bhi us morr pe khade hai.......
Jaha aapne kaha tha thehro hum abhi aate hain

No comments:

Post a Comment