Jane kyun loog
Gham ka soog manate hain
Hum ko jitne gham milte hain
Hanste hain lahrate hain
Jis dil main chahat rahti thi
Us dil main hay ab dard basa
Jin honton pe the geet saje
Un pe hay duniya ka shikwa
Jin aankhon main woh rahte the
Ab aansu lahrate hain
Har subha naya ek dard mila
Har sham naya ek gham paya
Is jooth freeb ki duniya main
Hum ko hi na jina aya
Hum jasey tuute dil wale
Diwane kahlate hain
Ek harjayi ki chahat main
Apna hum sab kuch choor chuke
Ek sans ka rishta baki hay
Baki har rishta toor chuke
Jo manzil tak na pounch sakeen
Raste main lut jate hain
No comments:
Post a Comment